The MARCH continues....

chalo chalo lets do the MARCH
niklo gharse karne ko re-charge
guru ke sang jagayen duniya ko hum
sab vote karenge aao khayen/khilayen kasam

doosra patakha Guru ne hai choda
kuch terrorism, corruption pe thoda
tum bhi utth lo ho jao sang
hum to rangen bas unhi ke rang

ek nahin, log sau hazaar chalenge
democracy ke naye dwaar khulenge
apni apni dhun main gaao
sab ko voting ka raag sunaao

chalta hai bas nahin chalega
sabko vote karna padega
aaj abhi main mauj manao
apne saath auron ko laao

sone ki chidiyon ka ho dera
sapno ka phir saakar basera
ik ik kar kaarvan badhaao
tum bhi aao unko bhi laao

jo hum sabke hain itne pyaare
sabko unki aawaaz pukare
dhyaan lagaao, abhyaas badhaao
khud jago auron ko jagaao

hone ko hai naya sawera
jo tera kuch nahin hai mera
delhi hilaaoo, NCR ghumaao,
chahe sare jagko le aao

nayi daud mein bhaago bhagaao
is politics se ticks choodaao
jo roothein unhein haath pakad kar
saath le aaoo bas saath le aaooo

Comments

Popular posts from this blog

Is Myth a Word?

Perspective: beyond the opposites

Breaking Free - the flow....