ek patakha Guru ne choda kuch mittha kuch khattha thoda

chalo chalo lets do the dhamaal
niklo gharse karne ko kamaal
siddarth ke sang dein duniya ko rang
bramh naad ki udayein milkar patang

ek patakha Guru ne choda
kuch mittha kuch khattha thoda
tum bhi chakhlo ho jao sang
hum to rangen ab unke ke hi rang

ek nahin, SITAR hazaar bajenge
satyug ke kayin dwaar khulenge
apni apni dhun main gaaoo
sab ko bramh ka naad sunaaoo

chalta hai ab nahin chalega
sabko shaamil hona padega
aaj abhi main mauj manao
apne saath auron ko laaoo

jo hum sabke hain itne pyaare
sabko unke dikhlaaoo nazaare
ik ik kar kaarvan badhaaoo
tum bhi aao unko bhi laaoo

sone ki chidiyon ka dera
sapno ka ho saakar basera
dhyaan lagaao, abhyaas badhaaoo
khud jago auron ko jagaoo

hone ko hai naya sawera
jo tera kuch nahin hai mera
delhi hilaaoo, NCR ghumaaoo,
chahe sare jagko batlaaoo

nayi daud mein bhaago bhagaaoo
is dharti ko swarg banaaoo
jo chhootein unhein haath pakad kar
saath le aaoo bas saath le aaooo

abhi hanskar WOH hmmmm kahenge
lo chodo phir saans bharenge
kann kann main nayen praan dharenge
maathe ki shikann harkar woh
phir hansenge khoob hansenge

karo humari sewa swikaar
kardo karmon ka beda paar
bas teran (13) aur din bachen hain
har pal pal-pal sab jeet rahen hain

Comments

Popular posts from this blog

GURUdom from land of saints...

Change Management is about breaking free, being self reliant, being you..!

Torch bearer - committed to enable the MSME sector with resilience